FACEBOOK SECURITY TIPS IN HINGLISH

1. login alert free sms For Security
Aapka accont kab login hota H Aor kaha par konse browser me login ho raha hain iske baare me facebook ne aapko sms alert ki subidha Di H . isko aap use karke Apne Ac Ka login alert apne phone par recive kar sakte hain .
Free sms alert on karne ke liye
FB Log in >> Setting >> Security >> Login Alert >>
* Notification on kare
* Text Messages On kare
Ab jab bhi aapka AC log in hoga aapko iska free alert mil jayga.
2. Timeline And Tagging
Aapka koi friends jo aapke timeline ko tag karke koi images yaa post karta H toh tagging aapke sabhi friends ke timeline par bhi show ho jata hain . Matlab Post Viral ho jati h.
Ab suppose aapke friends ne aapke sath esi post tag kar di jisse aapko aor aapke friends ko  nuksaan ho sakta hain . ( ex : Adult , Hacking , other ) Toh ese tag ko rokne ke liye aapko  tag Approve option on karna hoga jisse agar aapka friends aapke sath koi bhi post tag karega toh aap jab tak aap post ko Check karke approve nahi karenge tab tak wo post aapke timeline par public nahi hogi .
Ise Chalu Karne Ke Liye

Setting >> Timeline And Tagging >> Par Jaye
1. Isko  ” Only ME ” Kare
2. Isko   ” ON ”  kare
3. Control Unwanted Post And Images For Security
Aap apne ese friends , Group , Page se Connect hai Jinke duaara public ki gayi post yaa photo aapko pasand nahi aor aap yeh chahenge ki friends ko unfriend kiye bina koi esa tarika ho jisse uski post hamare news feed me show nahi honi chahiye aor usko unfriend bhi nahi karna pare toh iska tarika bhi hamare paas hai .
Isko on karne ke liye
1. Sabse phele uss friend ki profile ko open  karo jiski post ko aap block karna chahte ho .
2. Ab timeline ko open karke Page ko scroll down kare ( page ko niche le jaye )
* Yaha par aapko kuch option milenge ex:-  Unfriend , Block , unfollow ,Poke  . ab aapko ” Unfollow ” Par click karna hain  .
Issi traha aap kishi bhi group yaa page ko unfollow kar sakte ho .
4. customize Facebook friend request options
Aapko ese log friend request send karte hai jinko aap nahi jante hai toh aap send friend request options / button ko Hide yaa remove toh nahi kar sakte But unwanted friends request ko rokh sakte hain.
Setting set karne ke liye
 Setting >> Privacy >> Who Can Sent You Friends Request ko ” Friends Of Friends ” Select kare .
5 . secure your profile For Security
Aapki profile kitni secure hain yeh aapko pata hona chahiye . Apne AC ko secure kaise kare yeh sawaal hamare paas hamesa rehta H .
* apni friends list ko hamesha hide karke rakhe .
* Mobile number ko Hide Rakhe.
* Apni personal information share naa kare.
* kabhi bhi Ese photo yaa post public naa kare jisse aapka FB account Spam or Ban ho jaye .
*  lite , messanger app use kare .
*  Other device me log out jarur kare .
*  Time par  Facebook  check karte rahe .
Toh friends aapne yaha par Kuch facebook security tips ko Jana jisse aap apne AC ko safe rakh sakte h .

Comments

Popular posts from this blog

फोन पर अश्लील बाते या परेशान करना CYBER STALKING CASE LAW

M-kavach भारत सरकार की C.DACद्वारा साइबर security के सम्बन्ध में बनी apps

साइबर लॉ का इतिहास और ये है क्या ?